Khilafat Ki Barkat Say Hum Sab Yahan…

 

KHILAFAT

To those who oppose US

This poem was read in Toronto on Khilafat Day Mushaira

Khilafat ki barkat say ham sab yahan

Khilafat hamaray liyay misl-e maan

Khilafat hamaray liey thandi chaan

Tum kaho is ko barbadi islam ki?

Yeh ilzam jhoota nahin manatay

Ham agar mantay hain to yeh mantay hain

“khilafat hey jarrah aur tana hey musalman”

Yeh jarrah jo rahi to sub kuch rahay ga

 

Is safar main bahut aazmaish sahi

Andhay zulmoun ki bay-raham talwar thi

Kaisay na-zaiba kalmoun ki bowchaar thi

Har khalifa po tum nay jo yalghar ki

Waisi yalghar ko ham nahin maantay

Ham agar mantay hain to yeh mantay hain

‘Khilafta muhafiz zaman-o-makan”

Yeh makan jo raha to sub kuch rahay ga

 

Kul zaamana Maseeh kay mukhalif chaly

Juhl e mullah nay nafrat say dil bhar diyay

is tanafar say bhar-poor paigham ko

Ham nahin maantay, ham nahin janatay

Ham agar mantay hain to yeh mantay hain

“Muhabat sabhi say na nafrat kisi say”

Yeh muhabat rahi to sub kuch rahay ga

 

Na tunday mukhalif say har-giz daray

Gaey zindan to phir bhi pukara kiyay

Jo mitaaey ga kalmay kay alfaaz ko

“Aisay bay-deen ko ham nahin mantay”

Ham agar mantay hain to yeh mantay hain

Kay kalmay ki izzat heh deen-o-aman

Yeh Izzat rahi tu sub kuch rahay ga

 

Ham sikhaty hain dunya ko deen-o-wafa

Gaalian sun kay daitay hain sub ko dua

Jam daur-e- Muhammad ka  phir say chala

Aur is daur ko tum kaho ‘batila’!

Yeh ghanouna zulam ham nhain mantay

Ham agar mantay hain to yeh mantay hain

“Kay Khilafta ka yeh daur hey Saania”

Is say taluq raha tu sab kuch rahay ga

 

Bahut jalad Farhat wo din bhi charray ga

Kay har dar Khilafat kay dar pay khulay ga

Shajar sar-sabaz, yeh tanaawar rahay ga

Ashiyan is pay har ik salamat rahay ga

Ham agar jantay hain, tu yeh jantyay hain

Ishaq ki intiha, ashiyan say wafa

Yeh wafa jo rahi, to sab kuch rahay ga

Ham agar mantay hain, to yeh mantay hain

6 replies

  1. Thanks for very heart-felt poem on Khilfat Ahmadiyya, the reading of which makes all Ahmadis feel as if their sentiments of deep love and involvement with the ‘Qudrat-e-Sania’, the Khilafat-e-Islam-e-Ahmadiyya have been expressed very effectively in most simple words of Urdu language. Jazakallah. May God Almighty, with His infinite blessings,enables the whole of mankind realize the lasting patronage values of the holy spiritual institution of Khilafat-e-Ahmadiyya and they actually join the Jama’at-e-Masih-e-Muhammadi to lead their lives under the holy”Qudrat-e-Sania” the only protective roof of final safety, security and total protection based on right lines of Quranic guidance, InshaAllah, till the day of Final Judgement. Ameen.

  2. MashAllah, an excellent and heart warming poem of our Beloved Khilafate Ahmadiyya, the true Islam.

  3. An excellent poem. I am tempted to post mine (without a Nazare Sani and correction:

    KHILAFAT KA PARCHAM LAHRAYENGE HUM
    SAARI DUNIYA KO APNA BAYAYENGE HUM

    BUKZ O NAFRAT KI AANDHI YA HO KOI AAG
    AABE MOHABAT SE SUB BHOJAYNGE HUM

    KHALIFATA KA ………………………

    MUKAFFIR O MOAKAZIB YAA HO KOI BADNUMAH
    KHILAFAT KE TALE SUB KO LAGENGE HUM

    KHILAFAT KA PARCHAM ……

    DALAYAL SE KAYIL KARAYENGE HUM
    MOHABAT KE SAYA MEIN LAYENGE HUM

    MAANA KE HARGIS YE NAHI HEY ANSAA
    DIL O JAAN IS RAH MEIN LOOTAYENGE

    KHILAFAT KA PARCHAM LAHREYNGE GUM…….

    KASCE DHAGE SE BNADHE CHALE AAYEGE HUM
    NAZRE ULFAT RAHO MEIN BHICHAYENGE HUM

    DARDE DIL KO AUR KIYA CHAHIYE
    ISHQE YARAAN BUS HAME CHAHIYE

    HAR LUMAH AB YAHI GEET GAYENGE HUM
    BAZME AARA-EE KO YAHI SUNAYENGE HUM

    KHILAFAT KA PARCHAM ………SAARI DUNIYA KO APNA BANAYENGE HUM
    Salaam on the Holy Prophet Muhammad (saws)
    JAAWOON TUJH PE MEIN NISAAR, YAA RASOOL LULLAH
    TUJH PE HAZAARON SALAAM, YAA RASOOL LULLAH
    MAKKE KE HAADI MADINE KE SULTAAN
    RASOOLON MEIN TERA AALI MUQAAM
    SAB NABIYON KA TU SULTAAN
    TUJH PE MERA DIL-O-JAAN QURBAAN, YAA RSOOL LULLAH
    TUJH PE HAZAARON SALAAM……………………….

    AAKHIRUL AMBIYAAN AUR AAKHIRUL INSAAN
    INSAAN KIYA JEEZ FARSHTE BHI TAMAAM

    SUB AKRE JUKH KAR TUJH KO SALAA
    ALAY KAS SALAAM TO, ALLAY KAS SALAAM

    TUJH PE HAZAARON SALAAM ………………………..

    MERE AAQA MER HAADI
    DIL TUKH PE SADQE JAAN TUJH BE QURBAAN
    TUJH PE HAZAARON SLAAAM ………………………………

  4. Masha’Allah

    It shows how we Ahmdis love Holy Prophet because this is the reflection of his holy beings love and regard that we express to the Imam of the time, the Khalifa. Here I would paste my own composition too.

    خلافت نہیں ہے تو کچھ بھی نہیں ہے
    یہ نعمت نہیں ہے ہو تو کچھ بھی نہیں ہے
    یہ راحت نہیں ہے تو کچھ بھی نہیں ہے
    یہ دولت نہیں ہے تو کچھ بھی نہیں ہے
    خلافت نہیں ہے تو کچھ بھی نہیں ہے
    اگر رہبری کو خلیفہ نہ ہوتا
    ہمیں زندگی کا سلیقہ نہ ہوتا
    یہ وہ مائدہ جو اتار خدا نے
    یہ نعمت نہیں ہے تو کچھ بھی نہیں ہے
    خلافت نہیں ہے تو کچھ بھی نہیں ہے
    مسلماں پہ اللہ کا ہے فضل بھاری
    ہوئی جو خلافت پھر دیں میں جاری
    اسی سے تو واحد بنے گی یہ امت
    اخوّت نہیں ہے تو کچھ بھی نہیں ہے
    خلافت نہیں ہے تو کچھ بھی نہیں ہے
    خدا کا یہ وعدہ تو قرآن میں ہے
    خبر یہ نبی کے بھی فرمان میں ہے
    چلے گی نبوت کی منہاج پر یہ
    قیادت نہیں ہے تو کچھ بھی نہیں ہے
    خلافت نہیں ہے تو کچھ بھی نہیں ہے
    دعاؤں کی طالب: طاہرہ مسعود

Leave a Reply to AnisaCancel reply